Monday, January 11, 2010

Ek sard raat me

Dilli ki ek sard rat me jub tum shaul me baithi hui thi khoi-khoi si. Mere hi ghur k bramde me. Alav jal raha tha pili lal lupto ki rassiya ulajh rahi thi ek dusre se. Ma kursi pe thi tumne choti chauki le rakhi thi. Tum dono aise baate kar rahe the jaise sadiyo k saathi ho. Tumhari wo fur wali shaul jisme aasman k saare sitare,dunia k saare rang aa kar lipat gaye the. Apne nae falak me simat gaye the. Tumhare lubo ko chum kar nikle ujle dhue me,maine jhok di apni sari musibate. Mere charo or dhuwe ki diwar khadi ho gai,dhuwe ki chat,dhuwe k darwje,dhuwe ki bistar. Maine aankhe mund li usi bistar per letkar.. Mere paav garam ho rahe the. Mere ghaav naram ho rahe the. Maine dekha jakhmo k nisaan mit rahe the. Apne dayre me simat rahe the. Tumne dhuwe ki kumbal se mera badan dhak dia. Dhuwe k tukiye per mera sur rakh dia. Tumne gulzar ki gazal ki caisate dheme-dheme baja dia. Mere sur pe baadam ka tel luga dia. Meri aarzoo ki banjar zamin jaha darare pad aai thi. Us raat achanak hari ghas uag aai thi. Us ek pal me mujhme jine ki pyas jag aai thi. Khusiyo ki jeevan me aas jug aai thi..k achanak tubhi shor sa hua aur mai uth gaya. Dekha mai hu kumre me aur.... Wo mera khwab tha ..warna mera ghur yaha dilli me kaise aa jata. Tum to ma se kabhi mili bhi nahi thi mai ma sung tumko kaise pata. Mai utha maine heater ka switch on kar dia. Hazar lihafo se dhaka mai thunda pad gaya!!!